Wednesday, March 11, 2009

Hum Safar


Hum Safar


hum safar ho to aisa jiska saath ho sadaa,


rehte hue bhi na rahe, to kya hai faayda


hum safar woh ho jiske saath chalne ki raah dekhe,


raaste hi alag alag ho to fir woh saath hi kaisa


beech raah me tanhai ka ehsaas na hone de jo,


door hote hue bhi, aas paas hi rahe woh


dil me ho jiske liye pyaar aur vishwaas,


kaise chalen woh zindagi ki raah bina kiye bharosa


zindagi ki khoj me nikal pada that koi,


raah chalte ehsaas hua ke manzil ka hi pata nahi