Saturday, February 6, 2016

Dard

Kanvli umar se hi khud se jud gaye
Apne aap karne ki aadat si ban gayi
Maa Baap ne bhi apne pairon pe khadne ki seekh di
Bachpan se hi doosron par jeena ki aadat nahi thi

Kabil banne ki thi arzoo hamesha se
Kabil bane bhi aur woh bhi apni khud ki mehnat se
Zindagi ke kai mukaam bhi paar kiye
Apne balboote pe, sifarishon se bhi door rahe

Is baat ka fakr tha aur hamesha rahega
Jo bhi kiya and jo bhi paaya sirf apni taakat se
Kabil ban gaye aur tarakki bhi ki
Mehnat ki roti ka to maza hi aur hai

Muft me na kabhi lene ki aadat bani
Rishwat bhi na kabhi dene ki aadat bani
Garv se sar utha ke jiye hum
Ghar ka chirag kehlate hue hi jiye hum

Lekin, aaj kabhi sochti hoon mai
Kahin aise khwaab dekh kar unko sach banane ki bewkoofi to nahi
Ird gird, kai nakabil loge se hai ghire hum
Unki nakabiliyat ka jurmana kyun bhare hum

Kabhi to aise lagta hai
Nalayak aur nakabil banna hi accha hota
Badi aasani se kisi Kaabil par bojh laad dete
Fikar to nahi hoti...kisi aur ke hisse ka wazan dhone ki

Kaabil banne ki khushi hamesha thi
Lekin zimmedar banne ki humne kahin galati to nahi ki
Nakabil aur nalayakon ke saath jeete jeete
Apni kabiliyat ka bhi jashn manana bhool gaye hum

Kabil aur layak banne ki jo kabhi khushi thi
Isi baat ke gham se aaj ghire hum