Wednesday, December 19, 2012

Fir ek baar...!!!

Fir ek baar, is sharm ka ehsaas hua hai..


Jis desh me hum hain, uska yeh itihaas hai...

Sharm se...sir jhukta hai, aur aankhen hoti hai num

Sharm se...kehna padta hai, ke kuch bhi nahi kar sakenge hum...



Fir ek baar, kuch dinon ke baad...

Jab kuch aisa hoga, bas aayegi yaad...

Fir ek baar, ek ghar ki izzat...ki bali chadegi..

Fir ek baar, media jamke uski coverage karegi....



Fir ek baar, hum dekhte hi rahenge...

Samaaj ke vaishi darinde, kuch kum to nahi honge..

Fir ek baar, honge shikaar aur koi....

Bas ban ke reh jayenge ek kahaani yun hi...



Is jurm ke saamne ghutne tek chuke hai hum...

Awaaz uthane ka abhi bhi nahi hai dum...

Sharm to yeh sunke hota hai...

Ke 6 mahine ki bachhi ko tak nahi choda hai..

80 saal ki daadi..bhi inka shikaar hai...

Sharm se kehna padta hai..ke yahi sach hai..



Naari bharosa karen to kis pe....kai...baar to

Janam dene wala baap bhi...inme shamil hota hai..

Ghar ke...andar hi...ghar ki izzat lootne wala rehta hai..

Bhala koi usko ghar bhi kehta hai..



Dard se kehna padta hai....jis samaj me hum rehte hain...

Bas Naari ka atyachaar karne waala ek Bazaar hai...





Tuesday, February 14, 2012

Ehsaas !!!

Zindagi ka safar kuch aisa hai abhi,
aadhi zindagi hai kat chuki, aur baaki hai aadhi abhi...

In beete dino me chhupi hai bachpan ki woh chanchal yaadein,
in beete dino me chuppi hui hai woh ladakpan ki nadaani,
in beete dino ne kaafi sayana bhi bana diya,
bas ek gum hai to yeh ke kabhi muhabbat na hui...

Is baat ka ehsaas gehra hota raha hai hamesha,
shayad muhabbat bhi hai...kisi naseebwalon ki jholi me...
ab to in tanhaiyon se dar lagne laga hai...
lagta hai...kis baat ki saza zindagi de rahi hai hame...

Zindagi bhi kaise mod le aati hai
ke sab kuch itna ajeeb sa lagta hai..

sab kuch hote hue bhi..

aaj yeh dil tanha hai...

jab koi hum par jaan chidak raha tha...

hum usko pagal ka raar dete rahe...
bewakoofi hi to thi woh hamari,

zaalim...yeh pata bhi nahi tha..isi ko muhabbat kehte hain !!!

ab jab, humne rishton ki gehraiyon ko samjha,
jab hum ne khud ko akela mehsoos kiya...
ek arse baad hi samajh aaya hai hamen,
zaalim, isi ko muhabbat kehte hain !!!

Tuesday, January 31, 2012

Kabhie Kabhie

Kabhie Kabhie, yun hi chalte chalte…
Mil jaata hai koi…..
Kabhie Kabhie, yun hi chalte chalte….
Kisi se mulakat hui….

Ajnabee hi hai woh toh..
abhi to puri pehchaan bhi nahi hui...
lekin woh saath tha to accha laga
usne jo baat ki, usne dil ko chui...

masroof zindagi me ek umang si jaagi...
ek ajeeb tarah ki khushi mehsoos hui...
fir achanak se ehsaas hua ke zindagi ke panne palatte jayenge
fir hum kahan, aur tum kahan...

humaare gum ne nahi kiya apnon pe koi asar
lekin, is ajnabee ne uska kiya to zikar...
kyun hain tumhe hamaari itni fikar...
jab hum hai kuch lamhon ke hum safar...

zindagi ke panne palatte jayenge....
fir hum kahan, aur tum kahan...

chalo, kisi ne to humara naam liya
kisi ne to tassalli di...
beshak kuch lamhon ka saath hai hamara...
ek ajeeb sa sukoon to mila....

fir achanak se ehsaas hua ke yeh to ek sapna hi hai...
dil mayoos ho gaya jab haqueekat me aankh khuli...
aakhir ajnabi hi hai woh, jiska qwaab humne dekha..
haan ajnabee hi hai woh, koi apna to nahi...

itna zaroor hai ke usne to dil ko chua..
jab ke apnon ko humari parvah tak nahi..

zindagi ke panne palatte jayenge....
fir hum kahan, aur tum kahan...