Tuesday, February 14, 2012

Ehsaas !!!

Zindagi ka safar kuch aisa hai abhi,
aadhi zindagi hai kat chuki, aur baaki hai aadhi abhi...

In beete dino me chhupi hai bachpan ki woh chanchal yaadein,
in beete dino me chuppi hui hai woh ladakpan ki nadaani,
in beete dino ne kaafi sayana bhi bana diya,
bas ek gum hai to yeh ke kabhi muhabbat na hui...

Is baat ka ehsaas gehra hota raha hai hamesha,
shayad muhabbat bhi hai...kisi naseebwalon ki jholi me...
ab to in tanhaiyon se dar lagne laga hai...
lagta hai...kis baat ki saza zindagi de rahi hai hame...

Zindagi bhi kaise mod le aati hai
ke sab kuch itna ajeeb sa lagta hai..

sab kuch hote hue bhi..

aaj yeh dil tanha hai...

jab koi hum par jaan chidak raha tha...

hum usko pagal ka raar dete rahe...
bewakoofi hi to thi woh hamari,

zaalim...yeh pata bhi nahi tha..isi ko muhabbat kehte hain !!!

ab jab, humne rishton ki gehraiyon ko samjha,
jab hum ne khud ko akela mehsoos kiya...
ek arse baad hi samajh aaya hai hamen,
zaalim, isi ko muhabbat kehte hain !!!